hamare jism ne jis jism ko bulaya hai wo ruh ban ke khada dur muskuraya hai pata chala kabhi shahr-e-ana wahin par tha jahan khandar pe naya shahr ab basaya hai hayat naw hai kaghaz ki barha jis par udaya aandhiyon ne sail ne bahaya hai jis aaine pe dhundlakon ne khinch di chilman usi ne aks hamara hamein dikhaya hai koi khada hai dar-e-dil pe muntazir kab se mahakti sanson ne aa kar hamein bataya hai