hamare nam se un ko mohabbaten kaisi jo mar gae to kisi se shikayaten kaisi ujad gae hain haweli ke sare hangame macha rakhi hain hawa ne qayamaten kaisi sarapa pyar hain hum to wafa-parast bhi hain hum aise shakhs ke dil mein kuduraten kaisi kabhi tu khud hi ruton ka mizaj badlega sitam ke zard dinon se baghawaten kaisi dilon ka zahr umadne laga hai baaton mein har ek lafz se uryan hain nafraten kaisi khizan-rasida darakhton ke jism chhalni hain hawa-e-shahr ne ki hain shararten kaisi khud apne hont chabana hi un ki aadat hai hamare dhyan ne di hain halawaten kaisi sada-e-zarf to kanon mein gunjti hi nahin 'niyaz' phir ye mohabbat mein wahshaten kaisi