hamare khwab hamari pasand hote gae hum apne aaina-khanon mein band hote gae ye kya hua ki ba-in-jism us se milte rahe magar firaq ke sadme do-chand hote gae har ek fath pe maghrur ho raha tha wo har ek shikast pe hum khud-pasand hote gae hum aise bikhre ki apne hi kaam na aa sake kisi ke haq mein magar sud-mand hote gae kisi ki baala-qadi ke shikoh ki zid mein hum apne qad se ziyaada buland hote gae