ai lamho main kyun lamha-e-larzan hun batao kis jagte baatin ka main imkan hun batao main ek khule bab-e-tasawwur ki rasai main kis ke liye is qadar aasan hun batao kis lams ki tahrir hun mehrab-e-hawa par kis lafz ka mafhum-e-farawan hun batao kis manzar-e-isbaat ke honton ki ziya hun kis chup ki main aawaz-e-farawan hun batao main silsila-dar-silsila ek nama-e-raushan kis harf-e-bashaarat ka dabistan hun batao kis bosa-e-be-sakhta ka hun main taqaddus kis sina-e-be-dagh ka arman hun batao main subh ke nazzara-e-awwal ki khunuk bu main kis ka ye sarmaya-e-arzan hun batao