ishq mein kya khoya kya paya main bhi sochun tu bhi soch kya ye tasawwur zehn mein aaya main bhi sochun tu bhi soch har chehre par chehra ho to kaise hum pahchanenge kaun hai apna kaun paraya main bhi sochun tu bhi soch qabr mein ja kar mitti mein mil jaane wali mitti ko yaron ne phir kyon nahlaya main bhi sochun tu bhi soch tu bhi qatil main bhi qatil maqtal hum donon ke dil kis ne kis ka khun bahaya main bhi sochun tu bhi soch phul khilata tha jo kal tak aaj wo kante bota hai farq ye is mein kaise aaya main bhi sochun tu bhi soch duniya bhi ek sarmaya hai uqba bhi ek sarmaya kaun sa achchha hai sarmaya main bhi sochun tu bhi soch jab tak suraj sar pe nahin tha sath 'mayank' ye chalta tha panw tale ab kyon hai saya main bhi sochun tu bhi soch