hamare pas hai hikmat na raaz kya kije siwae dard-e-dil-e-jaan-gudaz kya kije inayaten hain agarche hazar-ha lekin bane na baat to banda-nawaz kya kije na zarb-o-tar se rishta na dil-fareb-e-dam mere khayal ko aalam hai saz kya kije ze-ru-e-fiqh jo sab se ziyaada hai matub hamari us se bhi hai saz-baz kya kije jo jaante hain nahin jaante na jaane hain jo hai ayan yahan wo bhi hai raaz kya kije jahan guzarish-e-ahwal par hon taziren siwae jurat-e-arz-e-niyaz kya kije khula ek umr ki koshish se ye ki likkha hai hamare nam nasheb-o-faraaz kya kije bura ho lazzat-e-takhil ka ki rahti hai haqiqaton mein talash-e-majaz kya kije hazar dard hai aur jaan-e-na-tawan meri ilaj hai na gale ka jawaz kya kije