ittifaqan jo kahin ab wo nazar aate hain kitni yaadon ke hasin naqsh ubhar aate hain kaise guzri shab-e-ashufta-sara kis ko khabar log to baam pe hangam-e-sahar aate hain soch len aap mera sath kahan tak denge marhale saikdon dauran-e-safar aate hain yun ghalat to nahin chehron ka tassur bhi magar log waise bhi nahin jaise nazar aate hain un se jab tark-e-talluq ka khayal aata hai rabte kitne tasawwur mein ubhar aate hain