nabud o bud ke manzar banata rahta hun main zard aag mein khud ko jalata rahta hun tere jamal ka sadqa ye aatish-e-raushan charagh aab-e-rawan par bahata rahta hun duaen us ke liye hain sadaen us ke liye main jis ki rah mein baadal bichhata rahta hun udas dhun hai koi un ghazal aankhon mein diye ke sath jise gungunata rahta hun ajib sust-rawi se ye din guzarte hain main aasman pe shamen banata rahta hun main udta rahta hun nile samundaron mein kahin so titliyon ke liye khwab lata rahta hun ye mujh mein phail raha hai jo iztirab-e-shadid to phir ye tai hai use yaad aata rahta hun