raat bhar gardish thi un ke pasbanon ki tarah

raat bhar gardish thi un ke pasbanon ki tarah
panw mein chakkar tha mere aasmanon ki tarah

dil mein hain lekin unhen dil se gharaz-matlab nahin
apne ghar mein rahte hain wo mehmanon ki tarah

dil ke dene ka kahin charcha na karna dekhna
le ke dil samjha rahe hain mehrbanon ki tarah

nam par marne ke marte hain magar marte nahin
kaun ji sakta hai hum se sakht-jaanon ki tarah

dil jo kuchh kahta hai karte hain wahi 'bekhud' magar
sun liya karte hain sab ki be-zabanon ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close