is tarah mahw-e-jamal-e-mo'atabar ho jaiye jab naqab utthe to sar-ta-pa nazar ho jaiye khud ko raushan kijiye khud jalwa-gar ho jaiye apni subh-o-sham ke shams-o-qamar ho jaiye haq-parast-o-haq-shanas-o-haq-nigar ho jaiye raat ke mahaul mein nur-e-sahar ho jaiye dhup ke maron ko jis ki chhanw mein rahat mile reg-zar-e-zindagi mein wo shajar ho jaiye dekh kar insan par insan ke zulm-o-sitam ji mein aata hai ki mahrum-e-nazar ho jaiye waqt wo hai chhod kar sab maslahat-andeshiyan aur bhi diwana-o-shorida-sar ho jaiye log chun len jis ki tahriren hawalon ke liye zindagi ki wo kitab-e-motabar ho jaiye khak hona hi muqaddar mein hai ai 'zahid' to phir khak-e-pa-e-sayyad-e-wala-guhar ho jaiye