hamare sar se wo tufan kahin guzar gae hain chadhe hue the jo dariya sabhi utar gae hain rahe nahin hain kabhi ek haal par qaem simat gae hain kabhi aur kabhi bikhar gae hain usul hai ki khala yunhi rah nahin sakta hue hain khud se jo khali so tujh se bhar gae hain ruke bhi hain to dobara rawangi ke liye chale bhi hain to kahin rah mein thahar gae hain tumhaare ahd-e-taghaful mein ji rahe hain abhi hua hai kuchh tumhein hasil na hum hi mar gae hain nikal pade to phir apna suragh mil na saka tumhaare pas hi pahunche na apne ghar gae hain wahi hai daera-e-khwab ibtida-e-safar usi qadar hue wapas bhi jis qadar gae hain isi kami ka hai ehsas aur hairani hain aur to sabhi maujud hum kidhar gae hain 'zafar' hamari mohabbat ka silsila hai ajib jahan chhupa nahin pae wahan mukar gae hain