hamare shahr mein ghar is liye sunsan rahte hain ki ghar ghar khauf se sahme hue insan rahte hain agar tum ishq ki masjid mein jaana than hi baithe to bar-khurdar sikho us ke kya arkan rahte hain mujhe malik mere bachchon ke har gham se bacha lena lab-e-dil par wahi ban kar mere muskan rahte hain mujhe koi dikha kar khwab mein mera nagar bola yahan la-haul wird-e-khas rakh shaitan rahte hain mohabbat wo muqaddas chiz hai sun ai dil-e-nadan wo mil jae to rahat ke bade imkan rahte hain wahi dil mo'atabar mufti hai ahl-e-din ki duniya mein ki jis mein ai zamane muttaqi arman rahte hain meri basti pe hargiz qahr barpa ho nahin sakta meri basti mein ghar ghar sahib-e-iman rahte hain miyan shohrat bhi aksar aadmi pe zulm dhati hai wahi achchhe hain duniya mein jo kam pahchan rahte hain yahan har baat aankhon ke ishaare se karo 'tahir' lage diwar se har waqt kitne kan rahte hain