kar-e-din us but ke hathon hae abtar ho gaya jis musalman ne use dekha wo kafar ho gaya dilbaron ke naqsh-e-pa mein hai sadaf ka sa asar jo mera aansu gira us mein so gauhar ho gaya kya badan hoga ki jis ke kholte jame ka band barg-e-gul ki tarah har nakhun moattar ho gaya aankh se nikle pa aansu ka khuda hafiz 'yaqin' ghar se jo bahar gaya ladka so abtar ho gaya