teri nazron pe tasadduq aaj ahl-e-hosh hain jaan-e-jaan teri nigahen mai-kada-bar-dosh hain ishq mein ahl-e-wafa kitne aziyyat-kosh hain khun dil ka ho raha hai lab magar khamosh hain ai nigah-e-shauq kis manzil mein le aai mujhe donon aalam jalwa-gah-e-yar mein ru-posh hain mujh ko tanha dekhne wale na samjhen raaz-e-ishq meri tanhai ke lamhe yar ke aaghosh hain 'sarmad'-o-'mansur'-o-'shibli' ki nazar se dekhiye hosh wale hain wahi duniya mein jo behosh hain lan-tarani ki sada par muskuraya tha koi jitne zarre tur mein the aaj tak behosh hain ai 'fana' baada-kashi mein ye unhi ka hai karam un ki mast aankhon se pi kar bhi sarapa hosh hain