hamari aankh mein pani nahin hai ye sahrai hai barani nahin hai yahan jina zara dushwar hoga yahan marne ki aasani nahin hai agar is ka koi sani nahin hai to phir ye kam pareshani nahin hai hamein aaram aata bhi to kaise hamari chot jismani nahin hai nahin mumkin mera aabaad hona ki virani si virani nahin hai tujhe sun kar pareshani to hogi mujhe koi pareshani nahin hai