jo bhi hai ranj-o-gham KHatm ho jaega

jo bhi hai ranj-o-gham khatm ho jaega
us se karwao dam khatm ho jaega

khud mein itni ziyaada hawa mat bharo
sans ka zer-o-bam khatm ho jaega

khwab ki fasl hi gar jala di gai
to ilaqe se nam khatm ho jaega

ek aawaz aaegi bas aur phir
silsila ek dam khatm ho jaega

mere gham se zara waqafiyyat badha
dekhna tera gham khatm ho jaega

apni mushkil batata nahin main use
mera sara bharam khatm ho jaega

apne hone ki itni dalilen na de
tu khuda ki qasam khatm ho jaega

kya muqaddar mein chhoti si tarmim se
baam-e-lauh-o-qalam khatm ho jaega

mere naqsh-e-qadam par na chalna 'aziz'
mera naqsh-e-qadam khatm ho jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close