jo mila karti thi mujh ko lakdiyon ki tal par aisi ladki aaj tak dekhi nahin hai mal par aankh mein sae ki khwahish pet mein roti ki bhuk phir bhi kaisi tazgi thi phul jaise gal par us ko dekha to use bas dekhta hi rah gaya jaise ek zakhmi si titli ek tuti dal par jaane kaise us ko meri pyas ki pahunchi khabar lai chandi se katore sone aise thaal par patli patli rotiyon ko chaopdegi hath se dal kar tadka wo mujh ko degi patli dal par meri nazron se chhupa kar us se aankhen ponchh len us ne mera nam likh rakkha tha jis rumal par