hamari aankhon mein ashkon ka aa ke rah jaana jhuka ke sar ko tera muskura ke rah jaana dila bahut na ulajh nama-bar ko kya main ne sikha diya tha ki jaana to ja ke rah jaana shahid-e-naz ki bhuli nahin mujhe surat teri taraf ko nigahen phira ke rah jaana wo bazm-e-ghair wo har bar iztirab mera ba-maslahat wo tera muskura ke rah jaana thahar to ja rukh-e-jaanan pe ai nigah kuchh der sanad nahin faqat aansu baha ke rah jaana nigah-e-naz se saqi ka dekhna mujh ko mera wo hath mein saghar utha ke rah jaana jo puchhen hashr mein kuchh wo to han dila shabash wahan bhi tu yun hi baaten bana ke rah jaana agar tha nashsha to girna tha pa-e-khum pe mujhe mujhe pasand nahin ladkhada ke rah jaana nahin ye husn nahin bakht ki hai kotahi sawal-e-wasl ka honton tak aa ke rah jaana kisi tarah to ye jism-e-kasif pak ho shad gali mein yar ki jaana to ja ke rah jaana