hargiz kabhi kisi se na rakhna dila gharaz jab kuchh gharaz nahin to zamane se kya gharaz phaila ke hath muft mein honge zalil hum mahrum tere dar se phiregi dua gharaz duniya mein kuchh to ruh ko is jism se hai kaam milta hai warna kaun kisi se bila gharaz wasl o firaq o hasrat o ummid se khula hamrah hai har ek baqa ke fana gharaz ek phir ke dekhne mein gai saikdon ki jaan teri har ek ada mein bhari hai jafa gharaz dekha to tha yahi sabab-e-hasrat-o-alam majbur ho ke tark kiya muddaa gharaz kyunkar na ruh o jism se ho chand din milap is ko juda gharaz hai to us ko juda gharaz ilzam ta-ki sar pe kisi tarah ka na ho ai 'shad' dhundti hai bahane qaza gharaz