haqiqat mein majazi ishq ka yun rang bharta hun khuda ka nam le le kar buton ki chah karta hun hasin milte nahin phir bhi hawas milne ki karta hun ye qadr-e-zindagi karta hun na-qadron pe marta hun wufur-e-zof mein kya khak aah-e-sard bharta hun kaleja tham leta hun to koi baat karta hun talash-e-dil mein jab main ku-e-jaanan se guzarta hun to ek ek zarre ko jhuk jhuk ke lakhon sajde karta tun karo bhi imtihan mera abhi sar nazr karta hun darao aur ko tum main kahan marne se darta hun bulata hun kabhi un ko talab un ko jo karta hun to kahte hain abhi aata hun banta hun sanwarta hun tumhin jaancho tumhin dekho tumhin socho tumhin samjho mukarte ho qasam kha kha ke tum ya main mukarta hun bharosa kya sabaat-e-zindagi ka bahr-e-hasti mein hababon ki tarah main tutta hun jab ubharta hun asar lutf-o-ghazab mein tere aisa hai ki har aashiq kabhi kahta hai jita hun kabhi kahta hai marta hun nazar aata hai ek parde mein jalwa donon aalam ka mai-e-wahdat se jam-e-marifat ko apne bharta hun tujhe paun to sar par rakkhun aankhon par bithaun main tasawwur mein yahi baitha khayali naqsh bharta hun na main ne kuchh kaha tum se na tum ne kuchh kaha hum se yahi hasrat liye main aaj duniya se guzarta hun agar bais koi marne ka hota to na gham hota magar afsos is ka hai ki main be-maut marta hun nahin kuchh pursish-e-mahshar ka gham han un se khatka hai qayamat se nahin darta teri chaalon se darta hun maal-e-kar par ishq-o-mohabbat mein nazar kaisi jo kuchh karna mujhe hota hai us ko kar guzarta hun samajhta hun ki jite ji hua firdaus mein dakhil tere kuche mein chalte phirte jab aa kar thaharta hun liya sayyaad se dar kar jo qasd udne ka bulbul ne kaha dast-e-muqaddar ne thahar main par katarta hun maal-e-ishq ai 'hamid' jo kuchh hona tha hota hai buton ke jabr sahta hun khuda ka shukr karta hun