hamari baat ka ulta asar na pad jae ye dil ka bojh kahin jaan par na pad jae tamam raat sulagta hun aur sochta hun kisi charagh ki mujh par nazar na pad jae isi khayal se zakhmon ki ru-numai na ki ki imtihan mein kahin chaara-gar na pad jae phir is ke baad kahan jaenge ye saya-pasand idhar ki dhup kisi din udhar na pad jae lagi to hai ye barabar mere taaqub mein gale hawa ke kahin ye safar na pad jae ye dasht-e-ishq hai ghaer zara khayal rahe tumhaara panw kisi din idhar na pad jae