hijab-e-raaz faiz-e-murshid-e-kaamil se uthta hai nazar haq-ashna hoti hai parda dil se uthta hai jala jata hun bar-e-soz-e-gham mushkil se uthta hai wo ashkon se nahin bujhta jo shola dil se uthta hai kahan khanjar bhi dast-e-nawak-e-qatil se uthta hai nazakat se hina ka bar bhi mushkil se uthta hai ye kis ne dal di bahr-e-talatum-khez mein kashti ye shor-e-harche-baada-e-baad kyun sahil se uthta hai kashida jis se tum hote ho koi rukh nahin karta giraate ho nazar se tum jise mushkil se uthta hai ye aansu kasm-pursi kis ke matam mein bahati hai janaza aaj kis ka kucha-e-qatil se uthta hai magar tasir paida ho gai majnun ke nalon mein ki parda aaj dast-e-laila-e-mahmil se uthta hai rukh-e-be-parda un ka yaad aata hai shab-e-hijran hijab-e-abr jab ru-e-mah-e-kaamil se uthta hai laga di aatish-e-khamosh kya soz-e-mohabbat ne ilahi khair dud-e-ah-e-sozan dil se uthta hai kiya sharminda itna sakht-jaani ne nazakat se khajalat se sar un ke samne mushkil se uthta hai kaleja tham len didar-e-jaanan dekhne wale bas ab parda rukh-e-rashk-e-mah-e-kaamil se uthta hai chale ahbab aaghosh-e-lahad mein chhod kar mujh ko ki hamdardi ka jazba pahli hi manzil se uthta hai