hamari nind mein koi sarab-e-khwab bhi nahin ye kaisa regzar hai fareb-e-ab bhi nahin the kaise kaise log mere khema-e-khayal mein gae dinon ki khair ho ki ab tanab bhi nahin ye hadisa ki barf-bariyon ki zad pe aa gae magar ye waqia lahu mein koi tab bhi nahin na kuchh gila na iltifat-e-hijr ki siyah raat faramushi ka daur hai ki ab azab bhi nahin ye lamha lamha zindagi kuchh is tarah se kat gai kahan pe kharch kya hua koi hisab bhi nahin