hamari sair ko gulshan se ku-e-yar behtar tha nafir-e-bulbulon se nala-ha-e-zar behtar tha anal-haq ki haqiqat ko jo ho mansur so jaane ki us ko aasman chadhne se chadhna dar behtar tha kabhu bimar sun kar wo ayaadat ko to aata tha hamein apne bhale hone se wo aazar behtar tha tu apne man ka manka pher zahid warna kya hasil tujhe is makr ki tasbih se zunnar behtar tha na kahta main ki aashiq hun tera to kyun wo ram karta mujhe iqrar ab karne se wo inkar behtar tha hamari aql mein ghar ki giraftari se 'hatim' ko kaho diwana phirna kucha o bazar behtar tha