milne ke nahin nishan hamare kya puchhte ho makan hamare ehsan se nahin badi bhi khali dushman hain mehrban hamare pachhtaoge jaan le ke dekho nahaq hain ye imtihan hamare be-misl hain lazzat-e-sukhan mein sab uth gae ham-zaban hamare aazad ki justuju abas hai paoge pate kahan hamare udti hai khak is zamin se padte hain qadam jahan hamare naqa late hain is taraf roz mohsin hain sarban hamare hum se bhi kuchh kaho azizo kya zikr the shab wahan hamare zahir hai jo guzar rahi hai kuchh haal nahin nihan hamare bah gae 'nasim' rang kya kya ye dida-e-khun-fishan hamare