is daur mein taufiq-e-ana di gai mujh ko kis jurm ki aakhir ye saza di gai mujh ko main ne jo kiya fasl-e-bahaaran ka taqaza ek phul ki taswir dikha di gai mujh ko ye kaun mere nam ko dohra sa raha hai shayad kisi gumbad mein sada di gai mujh ko wo un ka milana mujhe ek sahab-e-zar se auqat meri yaad dila di gai mujh ko pahle to nawaza gaya main khilat-e-gham se phir shahriyat-e-mulk-e-wafa di gai mujh ko hairat hai ki is bar buzurgon ki taraf se takmil-e-mohabbat ki dua di gai mujh ko kuchh nama likhe hi the abhi mere qalam ne kaghaz ki tarah aag laga di gai mujh ko gum ho gaya masti mein tadapne ka maza bhi kya chiz 'qatil' aaj pila di gai mujh ko