har ek gam pe had har qadam dar-o-diwar faza-e-shahr bani besh-o-kam dar-o-diwar yahi the sahn-e-faza aur yahi ghar aangan tha tum aae ho to hue muhtsham dar-o-diwar hum apne dard hawaon se bhi nahin kahte uthae phirte hain khud apne gham dar-o-diwar ye reg-zar hai aur is ki apni duniya hai yahan hamesha rahe kam se kam dar-o-diwar hawa watan ki palat aai baadban ke sath wahi yahan bhi faza aashram dar-o-diwar nazar ke aage nahin par nazar mein zinda hain school baste gharaunde qalam dar-o-diwar gae jahan bhi wahin shahr bas gaya 'ehsan' azal se apne rahe ham-qadam dar-o-diwar