thoda sa zindagi ka khasara zarur hai par gham ne dil ka rang nikhaara zarur hai mahtab phir raha hai khalaon mein is tarah jaise ki aasman ka kinara zarur hai aalam mein dekhiye to koi bhi khuda nahin aalam khuda ki samt ishaara zarur hai hum ko yaqin hai aap ko dil ki kitab mein ek an-likhe sa nam hamara zarur hai kya jaaniye wo shokh samundar hai ya sarab jo bhi ho tishnagi ka sahaara zarur hai waise meri zaban pe koi aur lafz tha par dost kah ke tujh ko pukara zarur hai kuchh sher kah ke hum ko guman ye hua 'mayank' ek aasman zamin pe utara zarur hai