har tarah ka do-jahan mein saz hai saman hai lafz-e-kun se irtiqa ka aur bhi imkan hai zat ke irfan se hasil rumuz-e-kaenat zat se shair ke hasil husn ka wijdan hai ek tamasha mah-o-gul ka aasman se ta-zamin aadmi sad-rang jalwa dekh kar hairan hai sharm se rukhsar-e-gul kuchh aur gulgun ho gaya is asar par aaine ki aankh bhi hairan hai aap ki jamhuriyat mein sab to hain shair nahin shaeri har qaum ki tahzib ki pahchan hai husn ko dena 'payami' shaeri ka pairahan farsh se ta-arsh mauj-e-rang ka tufan hai