hamein apni masafat be-maza karna nahin hai safar karna hai manzil ka pata karna nahin hai bala se hum kisi sahil pe pahunchen ya na pahunchen kisi bhi nakhuda ko ab khuda karna nahin hai hawaon se hi qaem hai hamari zau-fishani hawaon se charaghon ko juda karna nahin hai badalte waqt ke tewar parakhna chahte hain kaha kis ne buzurgon ka kaha karna nahin hai tumhin zamin ho meri zindagi ke mere khwabo tumhein ek pal bhi aankhon se riha karna nahin hai kai aashufta-sar mil jaenge raste mein 'alam' kisi ke waste hum ko sada karna nahin hai