hamein apni zat se ishq hua hum apne liye betab hue

hamein apni zat se ishq hua hum apne liye betab hue
tum log parae hijr mein the tum apne liye nayab hue

hamein kis ki khabar hamein kis ka pata hamein apna husul zaruri tha
malum nahin auron ke liye hum khwab hue ki sarab hue

is ganw ke sab kachche raste kisi shahr se ja kar milte hain
is ganw mein jab sailab aaya wo shahr bhi zer-e-ab hue

wo bahaar ka manzar ab jaise meri aankh mein aakar thahar gaya
meri soch ke sab behtar lamhe teri yaad se mil ke gulab hue

kyon aisi duaen ki jaen jo qubul bhi hon to pata na chale
jinhen saint ke rakha muddat tak wo gunah bhi nazr-e-sawab hue

phir zehn mein sochen uthti hain phir soch ko pahlu milte hain
teri yaad ke mazmun par ab tak kitne hi sawal-o-jawab hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close