hum ye chahen hamein inkar ki jurat ho jae

hum ye chahen hamein inkar ki jurat ho jae
lab tak aae to wahi harf-e-nadamat ho jae

meri sochen mera ehsas meri hi aawaz
mere sheron se magar aap ki shohrat ho jae

khak ho kar wo hawaon mein bikharna chahe
jab kisi ko dar-o-diwar se wahshat ho jae

aisi duniya mein badi baat hai zinda rahna
yun to virane mein rahna bhi ibaadat ho jae

zindagi husn hai aur husn kashish rakhta hai
warna har shakhs ko jaan dene ki fursat ho jae

ikhtilafat bhi hon sulh bhi ho jae agar
ranjishon mein hamein ehsas-e-murawwat ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close