hamein chaar samt ki dauD mein wahi gard-e-baad-e-sada mila

hamein chaar samt ki daud mein wahi gard-e-baad-e-sada mila
bane apni zat mein gunj hum na khudi mili na khuda mila

kabhi shahr shahr khirad phiri kabhi dasht dasht junun gaya
meri zindagi mujhe kuchh bata tujhe kya mila mujhe kya mila

use dhundte the jo ku-ba-ku wo safar ki gard mein at gae
kise rah-e-nikhat-e-gul mili kise naqsh-e-pa-e-saba mila

sar-e-sath-e-reg likhi hui koi dastan-e-junun mili
sar-e-lauh-e-ab bana hua koi naqsh-e-kar-e-wafa mila

kise haal apna sunaen hum kise shauq apna bataen hum
koi ham-safar hai zamin ka koi ham-rikab-e-hawa mila

kabhi koi aankh to bhigti kabhi koi dil to pasijta
mere shauq-e-taza-nawai ko ye nawa-gari ka sala mila

meri band aankh pe wa hue kai dar tilism-e-khayal ke
mujhe nind aae to kis tarah mujhe khwab-e-ahd-faza mila

main shajar hun mausam-e-dard ka yahi rut hai mere liye sada
kabhi shakh shakh hari mili kabhi barg barg juda mila

yahi raushni mere hath hai yahi tazgi mere sath hai
kabhi koi dagh chamak utha kabhi koi zakhm naya mila

main chala tha shahr ki rah se magar apni zat mein gum hua
mujhe 'baqar' apni talash thi mujhe aaj apna pata mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close