na mehrab-e-haram samjhe na jaane taq-e-but-khana jahan dekhi tajalli ho gaya qurban parwana dil-e-azad ko wahshat ne bakhsha hai wo kashana ki ek dar jaanib-e-kaba hai ek dar su-e-but-khana bina-e-mai-kada dali jo tu ne pir-e-mai-khana to kaba hi raha kaba na phir but-khana but-khana kahan ka tur mushtaq-e-laqa wo aankh paida kar ki zarra zarra hai nazzara-gah-e-husn-e-jaanana khuda puri kare ye hasrat-e-didar ki hasrat ki dekhun aur tere jalwon ko dekhun be-hijabana shikast-e-tauba ki taqrib mein jhuk jhuk ke milti hain kabhi paimana shisha se kabhi shishe se paimana saja kar lakht-e-dil se kashti-e-chashm-e-tamanna ko chala hun bargah-e-ishq mein le kar ye nazrana kabhi jo parda-e-be-surati mein jalwa-farma the unhin ko aalam-e-surat mein dekha be-hijabana meri duniya badal di jumbish-e-abru-e-jaanan ne ki apna hi raha apna na ab begana na begana jala kar shama parwane ko sari umr roti hai aur apni jaan de kar chain se sota hai parwana kisi ki mahfil-e-ishrat mein paiham daur chalte hain kisi ki umr ka labrez hone ko hai paimana hamari zindagi to mukhtasar si ek kahani thi bhala ho maut ka jis ne bana rakkha hai afsana ye lafz-e-salik-o-majzub ki hai sharh ai 'bedam' ki ek hoshyar-e-khatm-ul-mursalin aur ek diwana