hamein khabar nahin kuchh kaun hai kahan koi hai hamesha shad ho aabaad ho jahan koi hai jagah na chhode ki sail-e-bala hai tez bahut uda pada hi rahe ab jahan tahan koi hai fishaar-e-girya kisi taur be-maqam nahin dayar-e-gham hai kahin par pas-e-fughan koi hai wo koi khadsha hai ya wahm-e-khwab hai ki khayal ki ho na ho mere dil apne darmiyan koi hai kabhi to aisa hai jaise kahin pe kuchh bhi nahin kabhi ye lagta hai jaise yahan wahan koi hai kabhi kabhi to ye lagta hai fard fard hain hum ye aur baat hamara bhi karwan koi hai kahin pahunchna nahin hai use magar phir bhi misal-e-baad-e-bahaaran rawan-dawan koi hai hua hai apne safar se hazar se begana wahin wahin pe nahin hai jahan jahan koi hai chhalak jo uthti hai ye aankh fart-e-wasl mein bhi to sarkhushi mein abhi ranj-e-raegan koi hai shikast-e-dil hai to kya rah-e-ishq tark na kar ye dekh kya kahin parwarda-e-ziyan koi hai ab us nigah-e-fusun-kar ka qusur hai kya hamein dikhao agar zakhm ka nishan koi hai kahin pe aaj bhi wo ghar hai hansta basta hua ye wahm sa hai tere dil ko ya guman koi hai jawar-e-qarya-e-yaran mein ja nikalta hun ki jaise ab bhi wahin mera mehrban koi hai