zindagi tu ne lahu le ke diya kuchh bhi nahin tere daman mein mere waste kya kuchh bhi nahin aap in hathon ki chahen to talashi le len mere hathon mein lakiron ke siwa kuchh bhi nahin hum ne dekha hai kai aise khudaon ko yahan samne jin ke wo sach-much ka khuda kuchh bhi nahin ya khuda ab ke ye kis rang mein aai hai bahaar zard hi zard hai pedon pe hara kuchh bhi nahin dil bhi ek zid pe ada hai kisi bachche ki tarah ya to sab kuchh hi ise chahiye ya kuchh bhi nahin