uda sakta nahin koi mere andaz-e-shewan ko ba-mushkil kuchh sikhaya hai nawa-sanjaan-e-gulshan ko gareban chaak karne ka sabab wahshi ne farmaya ki us ke tar le kar main siyunga chaak-e-daman ko bahaar aate hi batti hain ye chizen qaid-khanon mein salasil hath ko panw ko bedi tauq gardan ko jhadi aisi laga di hai mere ashkon ki barish ne daba rakkha hai bhadon ko bhula rakkha hai sawan ko dil-e-marhum ki mayyat ijazat do to rakh den hum tere talwe-barabar hi zamin kafi hai madfan ko ijazat do to sari anjuman ke dil hila dun main samajh rakkha hai tum ne hech tasiraat-e-shewan ko suluk-e-pir-e-mai-khana ki ai saqi talafi kya ba-juz is ke duaen do use phaila ke daman ko