hamein taqsim karne ka hunar un par nirala hai magar un ko harane ka irada hum ne pala hai zamane bhar ke ranj-o-gham kabhi mujh ko diye us ne kabhi jab ladkhadaya to mujhe badh kar sambhaala hai makhote wo sada jhute laga kar hum se hai milta bahut shatir padosi hai janam se dekha-bhaala hai kiya jo bazm mein zikr-e-wafa un ki to wo bole nahin jo muddaa us baat ko phir kyun uchhaala hai kisi se qarz le kar shahar ko phir jaega 'hariya' adalat ne jo is ka faisla hi kal pe tala hai bike hain log dene ko gawahi jhut ke haq mein magar sach jaante hain jo unhin ke munh pe tala hai burai khatm karne ko buron ka hath bhi thama 'asar' kante se hum ne paon ka kanta nikala hai