hamein to mai-kade ka ye nizam achchha nahin lagta na ho sab ke liye gardish mein jam achchha nahin lagta kabhi tanhai ki khwahish ye hoti hai ki logon ka payam achchha nahin lagta salam achchha nahin lagta khuda se lau lagaen ya khudai se rahe rishta faqat apni khudi ka ehtiram achchha nahin lagta jabin-e-pur-shikan khasan-e-alam ki nahin bhati magar ye bhi hai ghaugha-e-awam achchha nahin lagta na khushbu pairahan ki hai na zulfon ki na baaton ki hamein ye jalwa-e-baala-e-baam achchha nahin lagta mayassar ho to qadre lutf bhi nemat hai yan yaro kisi ka wada-e-aish-e-dawam achchha nahin lagta ye sasti lazzaton sasti siyasat ke pujari hain hamein ahbab ka sauda-e-kham achchha nahin lagta jahan harkat nahin hoti wahan barkat nahin hoti 'surur' ab wadi-e-gul mein qayam achchha nahin lagta