jidhar nigah uthi khinch gai nai diwar tilism-e-hosh-ruba mein hai zindagi ka shumar har ek samt musallat hai ghor tariki bujhe bujhe nazar aae tamam shahr-o-dayar ye shahr jaise chudailon ka koi maskan ho zabanen gung hain tarsan hain kucha-o-bazar khud apni zat mein hum is tarah muqayyad hain na dil mein tab-o-tawan hai na jurat-e-izhaar jo apne sine pe aksar saja ke rakhte hain wo tamgha-ha-e-tahawwur to le gae aghyar kamal-e-naz tha apni zaraf-nigahi par ajab ki padh na sake hum nawishta-e-diwar wo maulwi ki usulon ke pasban the kabhi wahi to bechte phirte hain jubba-o-dastar warud-e-sher pe hadd-e-adab ke pahre hain jo sach kahoge to thahroge ek din ghaddar 'wahid' kar-e-siyasat hai kar-e-be-karan zaban ko rok lo qaem rahe adab ka waqar