hamesha kisi imtihan mein raha

hamesha kisi imtihan mein raha
raha bhi to kya is jahan mein raha

na main dur tak sath us ke gaya
na wo der tak ham-rahan mein raha

wo dariya pe mujh ko bulata raha
magar main saf-e-tishnagan mein raha

main bujhne laga to bahut der tak
ujala charag-e-ziyan mein raha

qafas yaad aaya parinde ko phir
bahut roz tak aashiyan mein raha

rahi der tak maut se guftugu
main jab halqa-e-raftagan mein raha

na gul koi dil ke shajar par khila
na koi samar shakh-e-jaan mein raha

ye khana hamesha se viran hai
kahan koi dil ke makan mein raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close