isi zamin pe isi aasman mein rahna hai tera asir hun tere jahan mein rahna hai main ek pal teri duniya mein kya qayam karun ki umr bhar to mujhe raftagan mein rahna hai mein jaanta hun bahut sakht dhup hai lekin safar mein hun to saf-e-rah-rawan mein rahna hai utar gai hai to sine se mat nikal use ki mere khun ko teri sinan mein rahna hai na mere hath se chhutna hai mere neze ko na tere tir ko teri kaman mein rahna hai khule rahen jo khule hain qafas ke darwaze wo kab chhutenge jinhen qaid-e-jaan mein rahna hai to phir ye zindagi-e-jawedan ka milna kya jo har nafs nafs-e-raegan mein rahna hai