tumhaare shahr mein itne makan gire kaise mere aziz thikane dhuan hue kaise main shahr-e-jabr se guzra to surakh-ru ho kar unhen ye fikr lahu ka nishan mite kaise suna raha hun kahani hazar raaton ki ki shahzade ke sar se sinan hate kaise hisab khub rakha tum ne apni lagat ka mere nisab mein sud-o-ziyan chale kaise har ek shakhs tumhaari tarah nahin hota koi kisi se mohabbat kahan kare kaise jahan bhi sham hui ghar bana liya apna makan bahut the magar be-makan rahe kaise 'anis' tum to bahut tez chaal chalte the zara hamein bhi batao miyan gire kaise