hamid kahan ki daud ke jaun khabar ko main kis aarzu pe qata karun is safar ko main mana buri khabar hai pa teri khabar to hai sabr-o-qarar nazr karun nama-bar ko main ye sang-o-khisht aah dilate hain teri yaad rota hun dekh dekh ke diwar-o-dar ko main hai teri shakl ya teri aawaz ka khayal karta hun iltifat yakayak jidhar ko main afsos hae hae ki aati nahin sada puchhe to kya bataun tere chaara-gar ko main kya ho gaya ise ki tujhe dekhti nahin ji chahta hai aag laga dun nazar ko main achchha jo tu ne gosha-e-marqad kiya pasand ab apne haq mein gor banaunga ghar ko main tere sar-e-aziz ki baalish ho khak se baalin-e-gham se ab na uthaunga sar ko main dekhi na thi bahaar abhi tere shabab ki bhula na tha abhi tere ahd-e-sighar ko main taqdir hi ne hae na ki kuchh musaidat kya roun ab dua-o-dawa ke asar ko main hukm-e-khuda yahi tha ki baitha kiya karun matam mein tere ashk-fishan chashm-e-tar ko main juz dard-o-dagh tu ne na chhoda nishan haif rakhunga mehman inhen umr bhar ko main kar ne do aah-o-nala ki aakhir rahunga baith taslim kar ke hukm-e-qaza-o-qadar ko main kya fikr-e-ab-o-nan ki gham kah raha hai ab maujud hun ziyafat-e-dil aur jigar ko main tujh ko jawar-e-rahmat-e-haq mein jagah mile manga karunga ab ye dua har sehr ko mein habs-e-dawam to nahin duniya ki mar rahun kahe ko ghar khayal karun rahguzar ko main khud hum se bhi zyaada ho jo hum pe mehrban wo jam-e-zahr de to na chakhun shakar ko main wo jaane aur us ki raza jo pasand ho sab kaam saunpta hun usi dad-gar ko main hota na dil mein dard to karta na hae hae deta na tul yun sukhan-e-mukhtasar ko main