hamin wafaon se rahte the be-yaqin bahut dil-o-nigah mein aae the mah-jabin bahut wo ek shakhs jo dikhne mein thik-thak sa tha bichhad raha tha to lagne laga hasin bahut tu ja raha tha bichhad ke to har qadam pe tere phisal rahi thi mere panw se zamin bahut wo jis mein bichhde hue dil lipat ke rote hain main dekhta hun kisi film ka wo scene bahut tere khayal bhi dil se nahin guzarte ab isi mazar pe aate the zaerin bahut tadap tadap ke jahan main ne jaan di hai 'siraj' khade hue the wahin par tamashbin bahut