jo chahte ho ki manzil tumhaari jada ho to apna zehn bhi is ke liye kushada ho wo yaad aae to apna wajud hi na mile na yaad aae to mujh ko thakan ziyaada ho pahad kat dun suraj ko hath par rakh lun zara khayal mein shamil agar irada ho samajh sako jo zamane ke tum nasheb-o-faraaz to apne ahd ke bachchon se istifada ho ye sochta hun wo jis dam meri talash kare haqiqaton ka mere jism par libaada ho hai justuju mujhe ek aise shakhs ki yaro jo khush-mizaj bhi ho aur dil ka sada ho