han jhut hai wo jaan se tum par fida nahin sach kah rahe ho ghair ka ye hausla nahin yaad-e-butan nahin ki khayal-e-khuda nahin sab kuchh bashar ke dil mein hai ai shaikh kya nahin waqif nahin ho tum abhi haal-e-raqib se main ne bura kaha jo use kya bura nahin thahre raho ki baat hi hogi tamam raat darte ho kyon kuchh aur mera muddaa nahin bhuli bahisht mein bhi na angur ki mujhe jab pi mai-e-tahur kaha wo maza nahin puri na kar jo wasl ki khwahish to qatl kar kya teri tarah tegh bhi hajat-rawa nahin ek main hun apne dil mein tujhe dekhta hun roz ek tu hai mud ke meri taraf dekhta nahin pahle to us ne wasl ka iqrar kar liya phir thodi der soch ke kahne laga nahin o sone wale sone na degi tujhe kabhi ye meri aah-e-garm hai baad-e-saba nahin jao na muddai ki mulaqat ke liye tum aao ya na aao ye matlab mera nahin ai dil kidhar hai kucha-e-gesu se de sada dhundhun kahan andhere mein kuchh sujhta nahin sae ka bhi pata nahin wo aae is tarah sajde kahan karun ki kahin naqsh-e-pa nahin sabit hai jurm-e-ishq to dawa-e-ishq se hum kis tarah kahen ki hamari khata nahin barsat mein bhi tum kabhi pite nahin 'fahim' aisa bhi ab pasand mujhe ittiqa nahin