sae ki tarah koi mere sath laga tha

sae ki tarah koi mere sath laga tha
kya ghar ki tarah dasht bhi aaseb-zada tha

pursish ko na tha koi to tanha tha bahut main
mahrum jo tha sab se khafa rahne laga tha

har dam nae ehsas ka tufan tha dil mein
kya jaaniye main kaun si mitti se bana tha

kya kya na pareshani-e-khatir se guzar aae
kya kya na pade ranj ki dekha na suna tha

nale ko usi dil mein utar jaane ki hasrat
aur nai ko usi bhulne wale ka gila tha

aashuftagi-e-sar ki jo tohmat hai ghalat hai
main apni hi khushbu se pareshan phira tha

ye kaun dil-o-jaan se ham-ahang hua hai
is darja to mahsus khuda bhi na hua tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close