jaur kis ka hai sitam kis ka hai kuchh na puchho ye karam kis ka hai dil-e-be-tab tadap kar kah de puchhte wo hain ki gham kis ka hai tere kuche mein bata de sach-much aaj ye naqsh-e-qadam kis ka hai jalwa-afroz tu hi tu hai tamam dair kis ka hai haram kis ka hai dil-e-nashad abhi tak qaem na tadapne se bharam kis ka hai aamad-e-pir-e-mughan hai shayad muntazir shaikh-e-haram kis ka hai charkh bhi dekh ke chakkar mein hai ki ye andaz-e-sitam kis ka hai be-kasi rah lag apni ye na puchh dhyan mujh ko shab-e-gham kis ka hai dil ke be-sakhta jo par hua hae ye tir-e-sitam kis ka hai sunte hi bole ye hai nazm 'fahim' aisa shokh aur qalam kis ka hai