han yahi shahr mere khwabon ka gahwara tha inhi galiyon mein kahin mera sanam-khana tha isi dharti pe the aabaad saman-zar mere isi basti mein meri ruh ka sarmaya tha thi yahi aab-o-hawa nashw-o-numa ki zamin isi mitti se mere fan ka khamir uttha tha ab na diwaron se nisbat hai na baam-o-dar se kya isi ghar se kabhi mera koi rishta tha zakhm yaadon ke sulagte hain meri aankhon mein khwab in aankhon ne kya jaaniye kya dekha tha mehrban raat ke sae the munawwar aise ashk aankhon mein liye dil ye sarasima tha ajnabi lagte the sab kucha o bazar 'akbar' ghaur se dekha to wo shahr mera apna tha